Thursday 12 June 2014

Letter #17

mai galti karti gayi,
aur tu mujhse pyar karta raha.

par ek bar toh dekh idhar
hamara pyar bachane k liye mujhe jalna pada.
khud ko mujhse itni dur kyun kar liya
ki mai tujhe sun bhi na paun.
mehsoos abhi bhi karti hun tujhe
tere har bar choone ka ehsaas ab bhi hai mujhe.
peeche mud k mat dekho tum,
aage badhte chalo
bas iss aage k safar mei mujhe saath le lo.
luta dungi khud ko tujh par
vaada hai mera tujhse
kabhi akelepan ka ehsaas nahi hoga tumhe
teri har pareshani se ladungi mai
par kuch na hone dungi tumhe.
tujhse zindagi hai meri
tu meri jeene ki vajah hai raha
tere saath saansein leni hai mujhe
mujhse dur na ja
ek bar awaaz laga le
sab kuch chod k aa jaungi
par agar aise hi raha
tadap tadap k mar jaungi.
aaj bhi meri nigaahein tujhe hai dhundti
aaj bhi mere haath tujhe choone ko taraste
honth sookh gaye mere tere bina
ek bar toh awaaz laga le..

ek mauka de de
tujhe sirf muskurane ki vajah hi dungi
tere har aansun ko khud pi jaungi
ek bar toh awaz laga le.